Blog banane ke baad new post ko
kaise likhte aur publish karte hai ?
New post ko likhne se pahle yah baat jaan lena jaruri hai ki :~
a) Aap jo post likhe wah copyright nahi ho matlab kisi dusre blog/website se copy nahi kiya hua ho.
b) Aap jo post likhege uske baare me aapko puri achchhi tarah se jaankari ho.
c) Post ko likhne se pahle aap ek copy notes taiyar kar le aur nishchit kar le ki post ka design kaisa hona chahiye.
d) Post kam se kam 300-400 words ka hona chahiye.
e) Photo ko direct google se search karke nahi lagaye, nahi to wah copy kiya hua photo hoga. Photo lagaye blog par Nate post kaise likhe wala image
blog me new post kaise likhe ?
1) Sabse pahle aap browser me blogger.com likhkar search kijiye ya phir www.blogger.com par click kijiye.
2) Uske baad Emai aur Password daalkar sign in ki button par click kijiye.
3) Ab aapke saamne blogger ka dashboard open hoga. Dashboard me aapko ek pencile jaisa icon show hoga. Aap new post ko 2 tarike se likh sakte hai :~
a) ya to aap pencile icon par chick kijiye.
b) ya phir new post ki button par click kijiye.
Dono me se kisi ek par click karne ke baad post editor open hoga. Post editor me aapko bahut saare icon najar aayege. In sabhi icon ki madad se hum new post ko likhege. In sabhi icon ka use kaise karte hai, jaanne ke liye niche diye link par click kare Ab hum step by step jaante hai ki kaise new post ko likhe
steps 1 ~ post title me heading likhe
Sabse pahle aap post ka heading likhe post title me. Post ka heading aapke post se related hona chahiye. Heading aisa hona chahiye ki aapke post ko padhne wale visitors, sirf heading padh kar samajh jaye ki aapka post kis chij se sambandhit hai. Aapka heading ekdam breaking news ki tarah hona chahiye, taaki adhik se adhik visitor aapke post ko padhesteps 2 ~ apna post aapko likhna hai khaali hisse me
Khaali hisse me aapko apna post likhna hai. Mai aapko attractive post likhne ke liye kuchh tips batlata hu kuki visitors unhi ke blog/website par adhik aate hai jinki post ka likhawat achchhi aur dekhne me attractive lage. Ab hum jaante hai ki kis tarah se hum sundar likhawat likh kar visitor ko aakarshit kar sakte hai.
a) Heading Ko Sundar Tarike Se Likhe
Heading ko likhne me bold, italic, underline ka use kare aur saath me aap heading ko colourful tarike se bhi likh sakte hai.
Photo lagaye Italian bold underline
Photo ko large likhe
b) Attractive Photo Daale
Visitor ko apni taraph aakarshit karne ke liye beautiful photo ka hona bahut hi jaruri hai. Aap kitna bhi sundar tarike se post ko likh le prantu agar aapne post me photo nahi daala hai to visitor aapke post ko pasand nahi karege aur dubara phir aapkeblog /website par nahi aayege isliye aap post me kam se kam 1-2 photo jarur lagaye
c) Sentence Ko Chhote - Chhote Paragraph
Me Likhe
Sentence ko aap chhote - chhote paragraph me likhe. Isse aapka post dikhne bahut sundar lagega aur visitor ko aapka post padhne me bhi aasani hogi.
d) Blod, Italic, Underline Aur Colour Ka
Use Kare
Post ko likhne me aap bold, italic, underline aur colour ka use kare, isse post ki sundarta badhti hai. Sentence me jo jo words important hai usme aap colour ka use kare. Ek paragrap likhne ke baad agar aap dusra paragraph new topic se start karna chahte hai to aap us paragrap ke topic ka headline likhne me blold/italic/underline ka use kare phir uske baad us topic se related jo likhna hai likhe. Post likhne me color ka use kare wala photo
d) Bullet Aur Numbering Ka Use Kare
Post ko likhne me beech - beech me bullet aur numbering ka use kare. Important sentence ko numbering ya pointwise likhe. Isse visitor ko aapka post padhne me aasani hogi.
Ye to maine short me bata diya ki aapko post kis tarah se likhna chahiye.